Wednesday 8 June 2011

Mohabbat ki Adhuri Nazm

Nazm
Sitambar (September) ke mahine ka shayad woh aakhri din thaa
baras gujre kayee
maine mohabbat lafz likha thaa
kisi kagaz ke tukre par 
achanak Yaad aaya hai
baras gujre kayee
mujh ko kisi se baat karni thi
use kehna thaa jane jaan " mujhe tum se mohabbat hai"
magar main keh nahi paaya.
woh kagaz aajtak lipta Pada hai dhool mein lekin...
kisi ko de nahi paaya
dobaara chah kar bhi main mohabbat kar nahi paaya




0 comments:

Post a Comment

 
Copyright © 2010 Feelings by Urdu ( A blog that say somthing). All rights reserved.